yuuñ ik sabaq-e-mehr-o-vafā chhoḌ ga.e ham
har raah meñ naqsh-e-kaf-e-pā chhoḌ ga.e ham
duniyā tire qirtās pe kyā chhoḌ ga.e ham
ik husn-e-bayāñ husn-e-adā chhoḌ ga.e ham
māhaul kī zulmāt meñ jis raah se guzre
qindīl-e-mohabbat kī ziyā chhoḌ ga.e ham
begāna rahe dard-e-mohabbat kī davā se
ye dard hī kuchh aur sivā chhoḌ ga.e ham
thī sāmne ālā.ish-e-duniyā kī bhī ik raah
vo ḳhūbi-e-qismat se zarā chhoḌ ga.e ham
ik husn-e-dakan thā ki nigāhoñ se na chhūTā
har husn ko varna ba-ḳhudā chhoḌ ga.e ham
yun ek sabaq-e-mehr-o-wafa chhoD gae hum
har rah mein naqsh-e-kaf-e-pa chhoD gae hum
duniya tere qirtas pe kya chhoD gae hum
ek husn-e-bayan husn-e-ada chhoD gae hum
mahaul ki zulmat mein jis rah se guzre
qindil-e-mohabbat ki ziya chhoD gae hum
begana rahe dard-e-mohabbat ki dawa se
ye dard hi kuchh aur siwa chhoD gae hum
thi samne aalaish-e-duniya ki bhi ek rah
wo KHubi-e-qismat se zara chhoD gae hum
ek husn-e-dakan tha ki nigahon se na chhuTa
har husn ko warna ba-KHuda chhoD gae hum
RECITATIONS
Nomaan Shauque
00:00/00:00
yun ek sabaq-e-mehr-o-wafa chhoD gae hum
Nomaan Shauque
Leave a comment