mirī chashm-e-tamāshā ab jahāñ hai
tajallī kārvāñ dar kārvāñ hai
yaqīñ hai āḳhirī manzil gumāñ kī
yaqīñ kī āḳhirī manzil gumāñ hai
vo mujh se duur to itne nahīñ haiñ
faqat ik be-yaqīnī darmiyāñ hai
ye raaz ahl-e-fuġhāñ par faash kar do
ḳhamoshī bhī ik andāz-e-fuġhāñ hai
ye mīr-e-kārvāñ se koī kah de
ki maiñ huuñ aur talāsh-e-kārvāñ hai
meri chashm-e-tamasha ab jahan hai
tajalli karwan dar karwan hai
yaqin hai aaKHiri manzil guman ki
yaqin ki aaKHiri manzil guman hai
wo mujh se dur to itne nahin hain
faqat ek be-yaqini darmiyan hai
ye raaz ahl-e-fughan par fash kar do
KHamoshi bhi ek andaz-e-fughan hai
ye mir-e-karwan se koi kah de
ki main hun aur talash-e-karwan hai
Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 280) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2013-14) Edition : 2013-14
Leave a comment