jo aa.e vo hisāb-e-āb-o-dāna karne vaale the
ga.e vo log jo kār-e-zamāna karne vaale the
uḌāne ke liye kuchh kam nahīñ hai ḳhaak ghar meñ bhī
vo mausam hī nahīñ haiñ jo divāna karne vaale the
mirī gum-gashtagī mere liye chhat ban ga.ī varna
ye duniyā vaale mujh ko be-Thikāna karne vaale the
na dete saare manzar aks hī thoḌe se de dete
ham āvāra kahāñ taz.īn-e-ḳhāna karne vaale the
samundar le gayā ham se vo saarī sīpiyāñ vāpas
jinheñ ham jamma kar ke ik ḳhazāna karne vaale the
'zafar' be-ḳhānamāñ apne ko ḳhud hī kar liyā tum ne
ye kār-e-ḳhair to ahl-e-zamāna karne vaale the
jo aae wo hisab-e-ab-o-dana karne wale the
gae wo log jo kar-e-zamana karne wale the
uDane ke liye kuchh kam nahin hai KHak ghar mein bhi
wo mausam hi nahin hain jo diwana karne wale the
meri gum-gashtagi mere liye chhat ban gai warna
ye duniya wale mujh ko be-Thikana karne wale the
na dete sare manzar aks hi thoDe se de dete
hum aawara kahan tazin-e-KHana karne wale the
samundar le gaya hum se wo sari sipiyan wapas
jinhen hum jamma kar ke ek KHazana karne wale the
'zafar' be-KHanaman apne ko KHud hi kar liya tum ne
ye kar-e-KHair to ahl-e-zamana karne wale the
Leave a comment