Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Tahir

  • Ghazal


pila ai giroh-e-suKHanwaran koi sher-e-tar gul-e-taza ras


pilā ai giroh-e-suḳhanvarāñ koī sher-e-tar gul-e-tāza ras
ye bahār meñ bhī ḳhamoshiyāñ na sar-e-junūñ na pa.e havas

ye hai mai-kada jo baḌhā ke haath uThā le jaam usī kā hai
na yahāñ pe kāvish-e-besh-o-kam na yahāñ pe tohmat-e-pesh-o-pas

sharar-e-tabī.at-e-āshiqāñ sabab-e-tajallī-e-gulsitāñ
ye hinā-e-shauq shafaq shafaq ye mai-e-nashāt nafas nafas

hai siyāh-posh nazar nazar hai nafas nafas na.e nāla-gar
vahī tīra-baḳhtī-e-ahl-e-dil vahī zulmat-e-shab-e-tār-o-bas

tah-e-tār-e-kisvat-e-ankabūt ye tā.irān-e-tarab-navā
sar taḳht-e-farq-e-humā humā ba-sad āfiyat hai magas magas

ye kamāñ-kashān-e-zah-e-ġhurūr phireñ haiñ kis kī talāsh meñ
vo jo bāġh-e-jāñ kī bahār the vo basā chuke haiñ qafas qafas

ye fazā-e-dasht shu.ūr-e-bāġh-e-nishāt-o-ḳhuld-e-surūr hai
na suḳhan kī harzah-ḳharoshiyāñ na lab-e-sadā na dam-e-jaras

abhī phuul phuul hai jāñ-ba-lab ye tap-e-balā tapish ġhazab
abhī khul ke abr-e-karam baras abhī aur khul ke baras baras

kabhī is taraf bhī guzar karo kabhī is taraf bhī nazar karo
maiñ faqīr-e-gul-kada-e-vafā mire barg-e-sāz ye ḳhār-o-ḳhas

pila ai giroh-e-suKHanwaran koi sher-e-tar gul-e-taza ras
ye bahaar mein bhi KHamoshiyan na sar-e-junun na pae hawas

ye hai mai-kada jo baDha ke hath uTha le jam usi ka hai
na yahan pe kawish-e-besh-o-kam na yahan pe tohmat-e-pesh-o-pas

sharar-e-tabiat-e-ashiqan sabab-e-tajalli-e-gulsitan
ye hina-e-shauq shafaq shafaq ye mai-e-nashat nafas nafas

hai siyah-posh nazar nazar hai nafas nafas nae nala-gar
wahi tira-baKHti-e-ahl-e-dil wahi zulmat-e-shab-e-tar-o-bas

tah-e-tar-e-kiswat-e-ankabut ye tairan-e-tarab-nawa
sar taKHt-e-farq-e-huma huma ba-sad aafiyat hai magas magas

ye kaman-kashan-e-zah-e-ghurur phiren hain kis ki talash mein
wo jo bagh-e-jaan ki bahaar the wo basa chuke hain qafas qafas

ye faza-e-dasht shuur-e-bagh-e-nishat-o-KHuld-e-surur hai
na suKHan ki harzah-KHaroshiyan na lab-e-sada na dam-e-jaras

abhi phul phul hai jaan-ba-lab ye tap-e-bala tapish ghazab
abhi khul ke abr-e-karam baras abhi aur khul ke baras baras

kabhi is taraf bhi guzar karo kabhi is taraf bhi nazar karo
main faqir-e-gul-kada-e-wafa mere barg-e-saz ye KHar-o-KHas


Source: Ham Qalam (Monthly)áVol. No.03   Issue 8â

Leave a comment

+