dhuup hai kyā aur saayā kyā hai ab ma.alūm huā
ye sab khel tamāshā kyā hai ab ma.alūm huā
hañste phuul kā chehra dekhūñ aur bhar aa.e aañkh
apne saath ye qissa kyā hai ab ma.alūm huā
ham barsoñ ke ba.ad bhī us ko ab tak bhuul na paa.e
dil se us kā rishta kyā hai ab ma.alūm huā
sahrā sahrā pyāse bhaTke saarī umr jale
bādal kā ik TukḌā kyā hai ab mālūm huā
dhup hai kya aur saya kya hai ab malum hua
ye sab khel tamasha kya hai ab malum hua
hanste phul ka chehra dekhun aur bhar aae aankh
apne sath ye qissa kya hai ab malum hua
hum barson ke baad bhi us ko ab tak bhul na pae
dil se us ka rishta kya hai ab malum hua
sahra sahra pyase bhaTke sari umr jale
baadal ka ek TukDa kya hai ab malum hua
Leave a comment