Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Tahir

  • Ghazal


ku-e-haram se nikli hai ku-e-butan ki rah


kū-e-haram se niklī hai kū-e-butāñ kī raah
haa.e kahāñ pe aa ke milī hai kahāñ kī raah

sad-āsmāñ ba-dāman o sad-kahkashāñ-ba-dosh
bām-e-buland-e-yār tire āstāñ kī raah

mulk-e-adam meñ qāfila-e-rūh jā basā
ham dekhte hī rah ga.e us bad-gumāñ kī raah

luTtā rahā hai zauq-e-nazar gaam gaam par
ab kyā rahā hai paas jo ham leñ vahāñ kī raah

ai zulf-e-ḳham-ba-ḳham tujhe apnā hī vāsta
hamvār hone paa.e na umr-e-ravāñ kī raah

gul-hā-e-rañg-rañg haiñ afkār-e-nau-ba-nau
ye rahguzār-e-sher hai kis gulsitāñ kī raah

'tāhir' ye manzileñ ye maqāmāt ye haram
allāh re ye raah ye kū-e-butāñ kī raah

ku-e-haram se nikli hai ku-e-butan ki rah
hae kahan pe aa ke mili hai kahan ki rah

sad-asman ba-daman o sad-kahkashan-ba-dosh
baam-e-buland-e-yar tere aastan ki rah

mulk-e-adam mein qafila-e-ruh ja basa
hum dekhte hi rah gae us bad-guman ki rah

luTta raha hai zauq-e-nazar gam gam par
ab kya raha hai pas jo hum len wahan ki rah

ai zulf-e-KHam-ba-KHam tujhe apna hi wasta
hamwar hone pae na umr-e-rawan ki rah

gul-ha-e-rang-rang hain afkar-e-nau-ba-nau
ye rahguzar-e-sher hai kis gulsitan ki rah

'tahir' ye manzilen ye maqamat ye haram
allah re ye rah ye ku-e-butan ki rah


Source: Book : Nuquush Lahore (Pg. 367) Author : Mohd Tufail Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore (Feb.1956 ) Edition : Feb.1956

Leave a comment

+