anokhā kuchh kahāñ aisā huā hai
tamāshā sab mirā dekhā huā hai
ḳhushī ko ham-nashīñ apnā banā kar
nishān-e-ġham bahut gahrā huā hai
hañsī kyuuñ be-tahāsha aa.ī us ko
zamāna kis liye sankā huā hai
na.ī shādāb qurbat kī fazā meñ
bahut maḳhmūr sā lahja huā hai
sarāpā dekh kar dilkash kisī kā
har ik manzar vahāñ Thahrā huā hai
kabhī mansūb rāhat se thā dariyā
baḌā be-dard vo sahrā huā hai
tapish meñ ishq kī bechain sā thā
kaleja ro ke ab ThanDā huā hai
sajā kar bazm 'ja.afar' aarzū kī
akelā der se baiThā huā hai
anokha kuchh kahan aisa hua hai
tamasha sab mera dekha hua hai
KHushi ko ham-nashin apna bana kar
nishan-e-gham bahut gahra hua hai
hansi kyun be-tahasha aai us ko
zamana kis liye sanka hua hai
nai shadab qurbat ki faza mein
bahut maKHmur sa lahja hua hai
sarapa dekh kar dilkash kisi ka
har ek manzar wahan Thahra hua hai
kabhi mansub rahat se tha dariya
baDa be-dard wo sahra hua hai
tapish mein ishq ki bechain sa tha
kaleja ro ke ab ThanDa hua hai
saja kar bazm 'jafar' aarzu ki
akela der se baiTha hua hai
Source: Book : Shayad (Pg. 30) Author : Jafar Sahni Publication : Yawar Hussain (2012) Edition : 2012
Leave a comment