Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Sahni

  • Ghazal


main yahan shor kis liye karta


maiñ yahāñ shor kis liye kartā
dhar liyā jā.ūñgā ye imkāñ thā

dekhiye ruḳh havā kā kab Thahre
aa gayā le ke vo diyā jaltā

peḌ paude to ḳhauf khāte haiñ
ghaas par us kā bas nahīñ chaltā

uḌ gayā āḳhirash maiñ kamre se
kab tilak jīte-jī yahāñ martā

mere andar jo DhūñDhtā thā mujhe
us se kaT kar maiñ mil chukā kab kā

ḳhvāb de kar ye phuul laayā huuñ
kahiye mahñgā milā hai yā sastā

iid kā din to hai magar 'ja.afar'
maiñ akele to hañs nahīñ saktā

main yahan shor kis liye karta
dhar liya jaunga ye imkan tha

dekhiye ruKH hawa ka kab Thahre
aa gaya le ke wo diya jalta

peD paude to KHauf khate hain
ghas par us ka bas nahin chalta

uD gaya aaKHirash main kamre se
kab tilak jite-ji yahan marta

mere andar jo DhunDhta tha mujhe
us se kaT kar main mil chuka kab ka

KHwab de kar ye phul laya hun
kahiye mahnga mila hai ya sasta

id ka din to hai magar 'jafar'
main akele to hans nahin sakta


Source: Book : Shayad (Pg. 15) Author : Jafar Sahni Publication : Yawar Hussain (2012) Edition : 2012

Leave a comment

+