shar kī bātoñ meñ tamāzat kā nishāñ ho ki na ho
aag lagtī hai to siine meñ dhuāñ ho ki na ho
shauq ko apne zarā tez-qadam hī rakhnā
thāmne haath kabhī bād-e-ravāñ ho ki na ho
sail ke ġhaiz se larzāñ hai tasavvur kā badan
bahte paanī ke takallum se gumāñ ho ki na ho
dil ke ḳhāne meñ kashish ḳhuub milī hai raushan
us kī mahfil kā samāñ rashk-e-jināñ ho ki na ho
dard-mandī kī fazā ham to kareñge qaa.em
sehn-e-dil-dār liye aks-e-fuġhāñ ho ki na ho
apnī palkoñ pe chalo aaj namī kuchh bhar leñ
shabnamī husn meñ tar phir se jahāñ ho ki na ho
mujh ko maujūd to har moḌ pe vo lagtā hai
chāñd tāroñ kī nigārish se ayaañ ho ki na ho
soch rahtī hai aqīdat se sharābor sadā
narm lahje meñ duā vird-e-zabāñ ho ki na ho
maiñ to mashkūk nahīñ us kī vafā se 'ja.afar'
ek mauhūm ishāre meñ bhī haañ ho ki na ho
shar ki baaton mein tamazat ka nishan ho ki na ho
aag lagti hai to sine mein dhuan ho ki na ho
shauq ko apne zara tez-qadam hi rakhna
thamne hath kabhi baad-e-rawan ho ki na ho
sail ke ghaiz se larzan hai tasawwur ka badan
bahte pani ke takallum se guman ho ki na ho
dil ke KHane mein kashish KHub mili hai raushan
us ki mahfil ka saman rashk-e-jinan ho ki na ho
dard-mandi ki faza hum to karenge qaem
sehn-e-dil-dar liye aks-e-fughan ho ki na ho
apni palkon pe chalo aaj nami kuchh bhar len
shabnami husn mein tar phir se jahan ho ki na ho
mujh ko maujud to har moD pe wo lagta hai
chand taron ki nigarish se ayan ho ki na ho
soch rahti hai aqidat se sharabor sada
narm lahje mein dua wird-e-zaban ho ki na ho
main to mashkuk nahin us ki wafa se 'jafar'
ek mauhum ishaare mein bhi han ho ki na ho
Leave a comment