Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Gorakhpuri

  • Ghazal


badan kajla gaya to dil ki tabani se niklunga


badan kajlā gayā to dil kī tābānī se niklūñgā
maiñ sūraj ban ke ik din apnī peshānī se niklūñgā

nazar aa jā.ūñgā maiñ āñsuoñ meñ jab bhī ro.o.ge
mujhe miTTī kiyā tum ne to maiñ paanī se niklūñgā

tum āñkhoñ se mujhe jaañ ke safar kī mat ijāzat do
agar utrā lahū meñ phir na āsānī se niklūñgā

maiñ aisā ḳhūb-sūrat rañg huuñ dīvār kā apnī
agar niklā to ghar vāloñ kī nādānī se niklūñgā

zamīr-e-vaqt meñ paivast huuñ maiñ phāñs kī sūrat
zamāna kyā samajhtā hai ki āsānī se niklūñgā

yahī ik shai hai jo tanhā kabhī hone nahīñ detī
'zafar' mar jā.ūñgā jis din pareshānī se niklūñgā

badan kajla gaya to dil ki tabani se niklunga
main suraj ban ke ek din apni peshani se niklunga

nazar aa jaunga main aansuon mein jab bhi rooge
mujhe miTTi kiya tum ne to main pani se niklunga

tum aankhon se mujhe jaan ke safar ki mat ijazat do
agar utra lahu mein phir na aasani se niklunga

main aisa KHub-surat rang hun diwar ka apni
agar nikla to ghar walon ki nadani se niklunga

zamir-e-waqt mein paiwast hun main phans ki surat
zamana kya samajhta hai ki aasani se niklunga

yahi ek shai hai jo tanha kabhi hone nahin deti
'zafar' mar jaunga jis din pareshani se niklunga

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Unknown

Leave a comment

+