Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Sahni

  • Ghazal


tamasha ek anokha sa dikhana


tamāshā ik anokhā sā dikhānā
taraddud meñ khulā chehra dikhānā

use maiñ raam kar lūñgā yaqīnan
bharī mahfil meñ bas tanhā dikhānā

hamesha josh meñ rahnā nahīñ hai
kabhī jazba bahut dhīmā dikhānā

agar kahnā huā mushkil zabāñ se
ishāroñ meñ na.ī duniyā dikhānā

dilāse ke liye vo aa ga.e haiñ
koī zaḳhmī koī murda dikhānā

use āsān hai fankār hai vo
kisī maġhmūm ko hañstā dikhānā

samar puḳhta hamārā ho rahegā
shajar ke paas tum Dhīlā dikhānā

zarā bahte hoī paanī ko 'ja.afar'
mirā taptā huā sahrā dikhānā

tamasha ek anokha sa dikhana
taraddud mein khula chehra dikhana

use main ram kar lunga yaqinan
bhari mahfil mein bas tanha dikhana

hamesha josh mein rahna nahin hai
kabhi jazba bahut dhima dikhana

agar kahna hua mushkil zaban se
ishaaron mein nai duniya dikhana

dilase ke liye wo aa gae hain
koi zaKHmi koi murda dikhana

use aasan hai fankar hai wo
kisi maghmum ko hansta dikhana

samar puKHta hamara ho rahega
shajar ke pas tum Dhila dikhana

zara bahte hoi pani ko 'jafar'
mera tapta hua sahra dikhana


Leave a comment

+