Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Sahni

  • Ghazal


ek masum tamanna ki faza thi kal tak


ek ma.asūm tamannā kī fazā thī kal tak
zindagī aisī kahāñ hosh-rubā thī kal tak

ġhaiz āñdhī kā banā ab hai muqaddar merā
dil ke āñgan meñ mahaktī sī sabā thī kal tak

naġhmagī aa ga.ī kis taur se us ke lab par
jis kī āvāz tarannum se judā thī kal tak

aaj ḳhāmosh bahut bazm-e-bahārāñ kyuuñ hai
gungunāte se libāde meñ havā thī kal tak

husn kī shoḳh-nazar māñge hai qīmat apnī
jhuktī āñkhoñ ke darīche meñ hayā thī kal tak

ye jo hañgāmoñ se marbūt hai mahfil merī
kaif-zā dil-rubā bulbul kī sadā thī kal tak

sar-nigūñ vaqt ke qadmoñ meñ hai ḳhvāhish apnī
varna har saañs meñ ik mauj-e-anā thī kal tak

ab kahāñ shauq ko miltā hai baḌhāvā 'ja.afar'
narm palkoñ meñ ghulī ek adā thī kal tak

ek masum tamanna ki faza thi kal tak
zindagi aisi kahan hosh-ruba thi kal tak

ghaiz aandhi ka bana ab hai muqaddar mera
dil ke aangan mein mahakti si saba thi kal tak

naghmagi aa gai kis taur se us ke lab par
jis ki aawaz tarannum se juda thi kal tak

aaj KHamosh bahut bazm-e-bahaaran kyun hai
gungunate se libaade mein hawa thi kal tak

husn ki shoKH-nazar mange hai qimat apni
jhukti aankhon ke dariche mein haya thi kal tak

ye jo hangamon se marbut hai mahfil meri
kaif-za dil-ruba bulbul ki sada thi kal tak

sar-nigun waqt ke qadmon mein hai KHwahish apni
warna har sans mein ek mauj-e-ana thi kal tak

ab kahan shauq ko milta hai baDhawa 'jafar'
narm palkon mein ghuli ek ada thi kal tak


Leave a comment

+