harīm-e-zāt ke parde meñ justujū yārāñ
zahe-nasīb mujhe merī aarzū yārāñ
havas ko ishq batā kar tahī-kadū yārāñ
mai-e-ayāġh se chhalkā ga.e lahū yārāñ
shabāb hai mire saaqī kā āftāb kī lau
badan hai saaz meñ dīpak kī ik numū yārāñ
isī gunah ne malā.ek pe fauqiyat baḳhshī
yahī gunah bashariyyat kī aabrū yārāñ
kabhī ḳhizāñ meñ kabhī ḳhār-o-ḳhas ke parde meñ
chaman meñ bikhre haiñ har-samt rañg-o-bū yārāñ
jise maiñ ḳhud se bhī kahne kī taab lā na sakā
vo ek baat kahī un ke rū-ba-rū yārāñ
vahī to jām-e-shifā hai balā-kashoñ ke liye
vo ik nigāh jo phirtī hai chār-sū yārāñ
usī ḳhalish ne use ḳhud-kushī pe uksāyā
ki ek shaḳhs se miltā hai hū-ba-hū yārāñ
zamāna badlā hai rañg-e-chaman bhī badlegā
chīnār ab nazar aate haiñ sho.ala-rū yārāñ
harim-e-zat ke parde mein justuju yaran
zahe-nasib mujhe meri aarzu yaran
hawas ko ishq bata kar tahi-kadu yaran
mai-e-ayagh se chhalka gae lahu yaran
shabab hai mere saqi ka aaftab ki lau
badan hai saz mein dipak ki ek numu yaran
isi gunah ne malaek pe fauqiyat baKHshi
yahi gunah bashariyyat ki aabru yaran
kabhi KHizan mein kabhi KHar-o-KHas ke parde mein
chaman mein bikhre hain har-samt rang-o-bu yaran
jise main KHud se bhi kahne ki tab la na saka
wo ek baat kahi un ke ru-ba-ru yaran
wahi to jam-e-shifa hai bala-kashon ke liye
wo ek nigah jo phirti hai chaar-su yaran
usi KHalish ne use KHud-kushi pe uksaya
ki ek shaKHs se milta hai hu-ba-hu yaran
zamana badla hai rang-e-chaman bhi badlega
chinar ab nazar aate hain shoala-ru yaran
Leave a comment