Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Raza

  • Ghazal


hujum-e-yas mein bhi aas jawedan Thahri


hujūm-e-yās meñ bhī aas jāvedāñ Thahrī
ye apnī dhartī kī bū-bās-e-be-karāñ Thahrī

vo rokte rahe mulkoñ kī sarhadoñ ke pare
kashish diloñ kī to purvā.ī thī kahāñ Thahrī

ummīd-o-bīm meñ kitne kañval hue raushan
tumhārī chashm-e-taġhāful jahāñ jahāñ Thahrī

numūd-e-fikr ne kitne banā.e ret pe naqsh
maiñ kyā karūñ ki ye tasvīr be-zabāñ Thahrī

har ek kāsa-e-sar hai faqīr kā piyāla
zabāñ savālī-e-bekas to be-zabāñ Thahrī

vahī hayāt jo sab ke liye thī rāhat-e-jāñ
vahī mire liye ik marg-e-be-amāñ Thahrī

kahīñ ifāda kahīñ mol-tol kī bāteñ
ye fikr-e-nau to kisī baniye kī dukāñ Thahrī

hujum-e-yas mein bhi aas jawedan Thahri
ye apni dharti ki bu-bas-e-be-karan Thahri

wo rokte rahe mulkon ki sarhadon ke pare
kashish dilon ki to purwai thi kahan Thahri

ummid-o-bim mein kitne kanwal hue raushan
tumhaari chashm-e-taghaful jahan jahan Thahri

numud-e-fikr ne kitne banae ret pe naqsh
main kya karun ki ye taswir be-zaban Thahri

har ek kasa-e-sar hai faqir ka piyala
zaban sawali-e-bekas to be-zaban Thahri

wahi hayat jo sab ke liye thi rahat-e-jaan
wahi mere liye ek marg-e-be-aman Thahri

kahin ifada kahin mol-tol ki baaten
ye fikr-e-nau to kisi baniye ki dukan Thahri


Leave a comment

+