Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Raza

  • Ghazal


wada-e-ulfat-o-paiman-e-wafa se tauba


va.ada-e-ulfat-o-paimān-e-vafā se tauba
tajraba kahtā hai us husn-e-adā se tauba

raat tārīk hai bechainī baḌhī jaatī hai
jis kā ulTā ho asar aisī duā se tauba

apnā ghar ban gayā maqtal magar ham ahl-e-yaqīñ
nahīñ karte haiñ ġham-e-hosh-rubā se tauba

un kī fasta.ī tabī.at meñ hai qatl-o-ġhārat
kyuuñ kareñge vo bhalā zulm-o-jafā se tauba

bijlī chamke to bahāne se lipaT jaate haiñ
phir vo kahte haiñ baḌī sharm-o-hayā se tauba

chashm-e-sāqī kī qasam thā ye bahāna varna
kahīñ karte haiñ mai-o-jām ke pyāse tauba

us ne to chiir diyā ahl-e-chaman ke dil ko
ab ke bal khaa.ī huī bād-e-sabā se tauba

wada-e-ulfat-o-paiman-e-wafa se tauba
tajraba kahta hai us husn-e-ada se tauba

raat tarik hai bechaini baDhi jati hai
jis ka ulTa ho asar aisi dua se tauba

apna ghar ban gaya maqtal magar hum ahl-e-yaqin
nahin karte hain gham-e-hosh-ruba se tauba

un ki fastai tabiat mein hai qatl-o-ghaarat
kyun karenge wo bhala zulm-o-jafa se tauba

bijli chamke to bahane se lipaT jate hain
phir wo kahte hain baDi sharm-o-haya se tauba

chashm-e-saqi ki qasam tha ye bahana warna
kahin karte hain mai-o-jam ke pyase tauba

us ne to chir diya ahl-e-chaman ke dil ko
ab ke bal khai hui baad-e-saba se tauba


Leave a comment

+