zaat ke gard fasīleñ haiñ riyāzat ma.alūm
sirf jannat ke liye hai to ibādat ma.alūm
ye bhī ik shān-e-rahīmī hai tirī izz-o-jal
na to manzil kī ḳhabar hai na masāfat ma.alūm
vo bhī ik shaḳhs hai saada sā magar pechīda
na khulī us kī mohabbat na adāvat ma.alūm
zaḳhm-e-dil ho ga.e ḳhandāñ vo mulāqāt huī
hai mujhe aap kā andāz-e-ayādat ma.alūm
vahī qātil vahī munsif vahī ainī shāhid
adl aur aap kī mīzān-e-adālat ma.alūm
jāñch kā hukm haqā.eq kī hai parda-poshī
un ko pahle se haiñ asbāb-e-baġhāvat ma.alūm
aise-vaise hue is shahr meñ kaise kaise
ahl-e-dastār kī hai ham ko najābat ma.alūm
ḳhūn-e-nāhaq se haiñ buniyādeñ bharī mahloñ kī
qatl hote the jo hotī thī siyādat ma.alūm
zat ke gard fasilen hain riyazat malum
sirf jannat ke liye hai to ibaadat malum
ye bhi ek shan-e-rahimi hai teri izz-o-jal
na to manzil ki KHabar hai na masafat malum
wo bhi ek shaKHs hai sada sa magar pechida
na khuli us ki mohabbat na adawat malum
zaKHm-e-dil ho gae KHandan wo mulaqat hui
hai mujhe aap ka andaz-e-ayaadat malum
wahi qatil wahi munsif wahi aini shahid
adl aur aap ki mizan-e-adalat malum
jaanch ka hukm haqaeq ki hai parda-poshi
un ko pahle se hain asbab-e-baghawat malum
aise-waise hue is shahr mein kaise kaise
ahl-e-dastar ki hai hum ko najabat malum
KHun-e-nahaq se hain buniyaaden bhari mahlon ki
qatl hote the jo hoti thi siyaadat malum
Leave a comment