Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Raza

  • Ghazal


dekhe to tamaddun ka banna koi urdu mein


dekhe to tamaddun kā banñā koī urdu meñ
begāna mizājoñ kī hai dostī urdu meñ

alfāz na.e Dhāle kyā kyā na.ī urdu meñ
raa.ij mutabādil haiñ jin ke ka.ī urdu meñ

hai qaid ilāqe kī maz.hab kī na millat kī
milte haiñ dil-o-jāñ ke rishte ka.ī urdu meñ

zholīda-bayāñ vo haiñ pechīda zabāñ un kī
ik shart safā.ī kī bas rah ga.ī urdu meñ

hai tarjume ke bal par ye dām-zabāñ-dānī
ik kāvish-e-be-dānish phir phañs ga.ī urdu meñ

ab shāyad isī sūrat kuchh baat bane un kī
sochī thī jo english meñ tahrīr kī urdu meñ

ye un kī nigārish hai yā dūsroñ kī utran
ye saarī baḌī bāteñ haiñ kaun sī urdu meñ

dekhī jo mirī uchkan vo shoḳh pukār uTThā
jachne lage sarkār ab apnī na.ī urdu meñ

kyā ḳhuub hī jachtī hai in mashriqī kapḌoñ meñ
añgrezī meñ ye kyā thī kyā ho ga.ī urdu meñ

shikva na shikāyat hai pechīda bayānī kī
kyuuñ talḳh ye lahja hai kahiye bha.ī urdu meñ

dekhe to tamaddun ka banna koi urdu mein
begana mizajon ki hai dosti urdu mein

alfaz nae Dhaale kya kya nai urdu mein
raij mutabaadil hain jin ke kai urdu mein

hai qaid ilaqe ki mazhab ki na millat ki
milte hain dil-o-jaan ke rishte kai urdu mein

zholida-bayan wo hain pechida zaban un ki
ek shart safai ki bas rah gai urdu mein

hai tarjume ke bal par ye dam-zaban-dani
ek kawish-e-be-danish phir phans gai urdu mein

ab shayad isi surat kuchh baat bane un ki
sochi thi jo english mein tahrir ki urdu mein

ye un ki nigarish hai ya dusron ki utran
ye sari baDi baaten hain kaun si urdu mein

dekhi jo meri uchkan wo shoKH pukar uTTha
jachne lage sarkar ab apni nai urdu mein

kya KHub hi jachti hai in mashriqi kapDon mein
angrezi mein ye kya thi kya ho gai urdu mein

shikwa na shikayat hai pechida bayani ki
kyun talKH ye lahja hai kahiye bhai urdu mein


Leave a comment

+