kitnī sazā milī hai mujhe arz-e-hāl par
pahre lage hue haiñ mirī bol-chāl par
kahte haiñ log joshish-e-fasl-e-bahār hai
phūloñ kā jab mizāj na ho e'tidāl par
tū apnī siskiyoñ ko dabā apne ashk poñchh
ai dost chhoḌ de tū mujhe mere haal par
phir aaj ismatoñ kī jabīñ hai araq araq
tohmat lagī hai phir kisī mariyam-ḳhisāl par
mahsūs bārhā ye huā hai ki zindagī
ik barf kī Dalī hai kaf-e-barshgāl par
kitni saza mili hai mujhe arz-e-haal par
pahre lage hue hain meri bol-chaal par
kahte hain log joshish-e-fasl-e-bahaar hai
phulon ka jab mizaj na ho e'tidal par
tu apni siskiyon ko daba apne ashk ponchh
ai dost chhoD de tu mujhe mere haal par
phir aaj ismaton ki jabin hai araq araq
tohmat lagi hai phir kisi mariyam-KHisal par
mahsus barha ye hua hai ki zindagi
ek barf ki Dali hai kaf-e-barshgal par
Source: Book : Aqleem (Pg. 52) Author : Jafar Baloch Publication : Maktaba aalia, Urdu Bazar Lahore (1986) Edition : 1986
Leave a comment