Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Gorakhpuri

  • Ghazal


meri ek chhoTi si koshish tujhko pane ke liye


merī ik chhoTī sī koshish tujh ko paane ke liye
ban ga.ī hai mas.ala saare zamāne ke liye

ret merī umr maiñ bachcha nirāle mere khel
maiñ ne dīvāreñ uThā.ī haiñ girāne ke liye

vaqt hoñToñ se mire vo bhī khurach kar le gayā
ik tabassum jo thā duniyā ko dikhāne ke liye

āsmāñ aisā bhī kyā ḳhatra thā dil kī aag se
itnī bārish ek shole ko bujhāne ke liye

chhat Tapaktī thī agarche phir bhī aa jaatī thī niiñd
maiñ na.e ghar meñ bahut royā purāne ke liye

der tak hañstā rahā un par hamārā bachpanā
tajrabe aa.e the sanjīda banāne ke liye

maiñ 'zafar' tā-zindagī biktā rahā pardes meñ
apnī ghar-vālī ko ik kañgan dilāne ke liye

meri ek chhoTi si koshish tujh ko pane ke liye
ban gai hai masala sare zamane ke liye

ret meri umr main bachcha nirale mere khel
main ne diwaren uThai hain girane ke liye

waqt honTon se mere wo bhi khurach kar le gaya
ek tabassum jo tha duniya ko dikhane ke liye

aasman aisa bhi kya KHatra tha dil ki aag se
itni barish ek shole ko bujhane ke liye

chhat Tapakti thi agarche phir bhi aa jati thi nind
main nae ghar mein bahut roya purane ke liye

der tak hansta raha un par hamara bachpana
tajrabe aae the sanjida banane ke liye

main 'zafar' ta-zindagi bikta raha pardes mein
apni ghar-wali ko ek kangan dilane ke liye

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Zafar Gorakhpuri

Leave a comment

+