Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jabbar Wasif

  • Ghazal


jabr ne jab mujhe ruswa sar-e-bazar kiya


jabr ne jab mujhe rusvā sar-e-bāzār kiyā
sabr ne mere mujhe sāhab-e-dastār kiyā

merī lafzoñ kī imārat girī kaam aa.ī mire
merī ġhazloñ ne mire naam ko mīnār kiyā

apne hāthoñ meñ kudūrat kī kudāleñ le kar
mere apnoñ ne mirī zaat ko mismār kiyā

yaad jab aayā koī va.ada-e-ta.amīr mujhe
maiñ ne tab jism kī har por ko me.amār kiyā

aur phir sabz ishāra huā us paar se jab
maiñ ne ik jast meñ dariyā-e-balā paar kiyā

aaj phir ḳhaak bahut roī lipaT kar mujh se
aaj phir qabr ne baabā kī mujhe pyaar kiyā

chāñd ne raat mire saath mire dukh bāñTe
sub.h sūraj ne bhī girya sar-e-dīvār kiyā

aag ashjār ko lagne se ka.ī din pahle
maiñ ne ro ro ke parindoñ ko ḳhabar-dār kiyā

aisā mātam kabhī dariyā kā na dekhā na sunā
jaane kis pyaas ne paanī ko azā-dār kiyā

jab havā dene lagī ThanDe dilāse mujh ko
kuchh charāġhoñ ne bhī afsos kā iz.hār kiyā

dekh kar jaltī huī jhoñpaḌī kal shab 'vāsif'
maiñ ne so.e hue darvesh ko bedār kiyā

jabr ne jab mujhe ruswa sar-e-bazar kiya
sabr ne mere mujhe sahab-e-dastar kiya

meri lafzon ki imarat giri kaam aai mere
meri ghazlon ne mere nam ko minar kiya

apne hathon mein kudurat ki kudalen le kar
mere apnon ne meri zat ko mismar kiya

yaad jab aaya koi wada-e-tamir mujhe
main ne tab jism ki har por ko meamar kiya

aur phir sabz ishaara hua us par se jab
main ne ek jast mein dariya-e-bala par kiya

aaj phir KHak bahut roi lipaT kar mujh se
aaj phir qabr ne baba ki mujhe pyar kiya

chand ne raat mere sath mere dukh banTe
subh suraj ne bhi girya sar-e-diwar kiya

aag ashjar ko lagne se kai din pahle
main ne ro ro ke parindon ko KHabar-dar kiya

aisa matam kabhi dariya ka na dekha na suna
jaane kis pyas ne pani ko aza-dar kiya

jab hawa dene lagi ThanDe dilase mujh ko
kuchh charaghon ne bhi afsos ka izhaar kiya

dekh kar jalti hui jhonpaDi kal shab 'wasif'
main ne soe hue darwesh ko bedar kiya


Leave a comment

+