Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jabbar Wasif

  • Ghazal


mujhe koi aisi ghazal suna ki main ro paDun


mujhe koī aisī ġhazal sunā ki maiñ ro paḌūñ
zarā jai jai vintī ke sur lagā ki maiñ ro paḌūñ

mire zabt tujh ko mirī taraf se ye izn hai
mirā aaj itnā to dil dukhā ki maiñ ro paḌūñ

ye jo ḳhaak oḌh ke so rahī hai mirī hañsī
yuuñ bilak bilak ke use jagā ki maiñ ro paḌūñ

mire ḳhud-kushī ke ḳhayāl par mire haal par
mirī bebasī mujhe yuuñ hañsā ki maiñ ro paḌūñ

tujhe ilm hai mirā koī tere sivā nahīñ
mujhe aa ke aise gale lagā ki maiñ ro paḌūñ

maiñ jahān-e-surḳh meñ sabz-posh charāġh huuñ
mirī lau ko itnā na aazmā ki maiñ ro paḌūñ

mirā baḳht merā nasīb tujh se chhupā nahīñ
mujhe de tū aisī koī duā ki maiñ ro paḌūñ

ye jo ishq kī siyah shaal hai ye vabāl hai
use yuuñ na dekh ke muskurā ki maiñ ro paḌūñ

mirī āñkheñ ab bhī tirī galī meñ haiñ ḳhema-zan
faqat ek baar unheñ dekh jā ki maiñ ro paḌūñ

mirā naam tū ne rakhā thā 'vāsif'-e-nā-tamām
isī naam se mujhe phir bulā ki maiñ ro paḌūñ

mujhe koi aisi ghazal suna ki main ro paDun
zara jai jai winti ke sur laga ki main ro paDun

mere zabt tujh ko meri taraf se ye izn hai
mera aaj itna to dil dukha ki main ro paDun

ye jo KHak oDh ke so rahi hai meri hansi
yun bilak bilak ke use jaga ki main ro paDun

mere KHud-kushi ke KHayal par mere haal par
meri bebasi mujhe yun hansa ki main ro paDun

tujhe ilm hai mera koi tere siwa nahin
mujhe aa ke aise gale laga ki main ro paDun

main jahan-e-surKH mein sabz-posh charagh hun
meri lau ko itna na aazma ki main ro paDun

mera baKHt mera nasib tujh se chhupa nahin
mujhe de tu aisi koi dua ki main ro paDun

ye jo ishq ki siyah shaal hai ye wabaal hai
use yun na dekh ke muskura ki main ro paDun

meri aankhen ab bhi teri gali mein hain KHema-zan
faqat ek bar unhen dekh ja ki main ro paDun

mera nam tu ne rakha tha 'wasif'-e-na-tamam
isi nam se mujhe phir bula ki main ro paDun


Leave a comment

+