Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Ghauri

  • Ghazal


jari hai kab se marka ye jism-o-jaan mein sard sa


jaarī hai kab se ma.arka ye jism-o-jāñ meñ sard sā
chhup chhup ke koī mujh meñ hai mujh se hī ham-nabard sā

jaate kahāñ ki zer-e-pā thā ek bahr-e-ḳhūñ-kinār
uḌte to bār-e-sar banā ik dasht-e-lāj-vard sā

kis chāñdnī kī aañkh se bikhrī shafaq kī ret meñ
motī sā Dhal ke gir paḌā shaam ke dil kā dard sā

nāzuk laboñ kī pañkhuḌiyāñ thartharā thartharā ga.iiñ
tez-rau bād-e-dard thī chehra thā gard gard sā

mehñdī rachī bahār kā āñgan ḳhushī se bhar gayā
mehmāñ hai ghar meñ aaj vo chāñd sunahrā zard sā

dekhā to ahl-e-shahr sab us ko hī lene aa.e the
ik ajnabī jo saath thā raah meñ kam-navard sā

kis dast-e-nāz meñ 'zafar' ā.īna-e-vajūd thā
bikhrā huuñ kā.enāt meñ har samt fard fard sā

jari hai kab se marka ye jism-o-jaan mein sard sa
chhup chhup ke koi mujh mein hai mujh se hi ham-nabard sa

jate kahan ki zer-e-pa tha ek bahr-e-KHun-kinar
uDte to bar-e-sar bana ek dasht-e-laj-ward sa

kis chandni ki aankh se bikhri shafaq ki ret mein
moti sa Dhal ke gir paDa sham ke dil ka dard sa

nazuk labon ki pankhuDiyan tharthara tharthara gain
tez-rau baad-e-dard thi chehra tha gard gard sa

mehndi rachi bahaar ka aangan KHushi se bhar gaya
mehman hai ghar mein aaj wo chand sunahra zard sa

dekha to ahl-e-shahr sab us ko hi lene aae the
ek ajnabi jo sath tha rah mein kam-naward sa

kis dast-e-naz mein 'zafar' aaina-e-wajud tha
bikhra hun kaenat mein har samt fard fard sa


Source: Shab Khoon(Shumara Number-052)

Leave a comment

+