zindagī tujh ko bhulāyā hai bahut din ham ne
vaqt ḳhvāboñ meñ gañvāyā hai bahut din ham ne
ab ye nekī bhī hameñ jurm nazar aatī hai
sab ke aiboñ ko chhupāyā hai bahut din ham ne
tum bhī is dil ko dukhā lo to koī baat nahīñ
apnā dil aap dukhāyā hai bahut din ham ne
muddatoñ tark-e-tamannā pe lahū royā hai
ishq kā qarz chukāyā hai bahut din ham ne
kyā patā ho bhī sake is kī talāfī ki nahīñ
shā.erī tujh ko gañvāyā hai bahut din ham ne
zindagi tujh ko bhulaya hai bahut din hum ne
waqt KHwabon mein ganwaya hai bahut din hum ne
ab ye neki bhi hamein jurm nazar aati hai
sab ke aibon ko chhupaya hai bahut din hum ne
tum bhi is dil ko dukha lo to koi baat nahin
apna dil aap dukhaya hai bahut din hum ne
muddaton tark-e-tamanna pe lahu roya hai
ishq ka qarz chukaya hai bahut din hum ne
kya pata ho bhi sake is ki talafi ki nahin
shaeri tujh ko ganwaya hai bahut din hum ne
Leave a comment