Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaan Nisar Akhtar

  • Ghazal


tu is qadar mujhe apne qarib lagta hai


tū is qadar mujhe apne qarīb lagtā hai
tujhe alag se jo sochūñ ajiib lagtā hai

jise na husn se matlab na ishq se sarokār
vo shaḳhs mujh ko bahut bad-nasīb lagtā hai

hudūd-e-zāt se bāhar nikal ke dekh zarā
na koī ġhair na koī raqīb lagtā hai

ye dostī ye marāsim ye chāhateñ ye ḳhulūs
kabhī kabhī mujhe sab kuchh ajiib lagtā hai

ufuq pe duur chamaktā huā koī taarā
mujhe charāġh-e-dayār-e-habīb lagtā hai

tu is qadar mujhe apne qarib lagta hai
tujhe alag se jo sochun ajib lagta hai

jise na husn se matlab na ishq se sarokar
wo shaKHs mujh ko bahut bad-nasib lagta hai

hudud-e-zat se bahar nikal ke dekh zara
na koi ghair na koi raqib lagta hai

ye dosti ye marasim ye chahaten ye KHulus
kabhi kabhi mujhe sab kuchh ajib lagta hai

ufuq pe dur chamakta hua koi tara
mujhe charagh-e-dayar-e-habib lagta hai

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Unknown

Leave a comment

+