sau chāñd bhī chamkeñge to kyā baat banegī
tum aa.e to is raat kī auqāt banegī
un se yahī kah aa.eñ ki ab ham na mileñge
āḳhir koī taqrīb-e-mulāqāt banegī
ai nāvak-e-ġham dil meñ hai ik buuñd lahū kī
kuchh aur to kyā ham se mudārāt banegī
ye ham se na hogā ki kisī ek ko chāheñ
ai ishq hamārī na tire saat banegī
ye kyā hai ki baḌhte chalo baḌhte chalo aage
jab baiTh ke socheñge to kuchh baat banegī
sau chand bhi chamkenge to kya baat banegi
tum aae to is raat ki auqat banegi
un se yahi kah aaen ki ab hum na milenge
aaKHir koi taqrib-e-mulaqat banegi
ai nawak-e-gham dil mein hai ek bund lahu ki
kuchh aur to kya hum se mudaraat banegi
ye hum se na hoga ki kisi ek ko chahen
ai ishq hamari na tere sat banegi
ye kya hai ki baDhte chalo baDhte chalo aage
jab baiTh ke sochenge to kuchh baat banegi
RECITATIONS
Nomaan Shauque
00:00/00:00
sau chand bhi chamkenge to kya baat banegi
Nomaan Shauque
Leave a comment