Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaan Nisar Akhtar

  • Ghazal


log kahte hain ki tu ab bhi KHafa hai mujhse


log kahte haiñ ki tū ab bhī ḳhafā hai mujh se
terī āñkhoñ ne to kuchh aur kahā hai mujh se

haa.e us vaqt ko kosūñ ki duā duuñ yaaro
jis ne har dard mirā chhīn liyā hai mujh se

dil kā ye haal ki dhaḌke hī chalā jaatā hai
aisā lagtā hai koī jurm huā hai mujh se

kho gayā aaj kahāñ rizq kā dene vaalā
koī roTī jo khaḌā maañg rahā hai mujh se

ab mire qatl kī tadbīr to karnī hogī
kaun sā raaz hai terā jo chhupā hai mujh se

log kahte hain ki tu ab bhi KHafa hai mujh se
teri aankhon ne to kuchh aur kaha hai mujh se

hae us waqt ko kosun ki dua dun yaro
jis ne har dard mera chhin liya hai mujh se

dil ka ye haal ki dhaDke hi chala jata hai
aisa lagta hai koi jurm hua hai mujh se

kho gaya aaj kahan rizq ka dene wala
koi roTi jo khaDa mang raha hai mujh se

ab mere qatl ki tadbir to karni hogi
kaun sa raaz hai tera jo chhupa hai mujh se

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Nomaan Shauque RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 log kahte hain ki tu ab bhi KHafa hai mujhse Nomaan Shauque

Leave a comment

+