Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Ghauri

  • Ghazal


ubharte Dubte taron ke bhed kholega


ubharte Dūbte tāroñ ke bhed kholegā
fasīl-e-shab se utar kar koī to bolegā

ye ahd vo hai jo qaa.il nahīñ sahīfoñ kā
ye harf harf ko maslūb kar ke tolegā

utar hī jā.egā rag rag meñ aaj zahr-e-sukūt
vo pyaar se mire lahje meñ shahd gholegā

mirā nasīb hī Thahrā jo rābtoñ kī shikast
tilism-e-jāñ kā bhī ye qufl koī kholegā

jo suune dil meñ kahīñ bas gayā koī aaseb
jahāñ bhī jāoge saaya sā saath ho legā

hai aaj vaqt 'zafar' dil kī baat kah Dāleñ
kabhī to vo bhī zarā apnā dil TaTolegā

ubharte Dubte taron ke bhed kholega
fasil-e-shab se utar kar koi to bolega

ye ahd wo hai jo qail nahin sahifon ka
ye harf harf ko maslub kar ke tolega

utar hi jaega rag rag mein aaj zahr-e-sukut
wo pyar se mere lahje mein shahd gholega

mera nasib hi Thahra jo rabton ki shikast
tilism-e-jaan ka bhi ye qufl koi kholega

jo sune dil mein kahin bas gaya koi aaseb
jahan bhi jaoge saya sa sath ho lega

hai aaj waqt 'zafar' dil ki baat kah Dalen
kabhi to wo bhi zara apna dil TaTolega


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+