Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imran Shamshad

  • Ghazal


tumne ye majra suna hai kya


tum ne ye mājrā sunā hai kyā
jo bhī honā hai ho chukā hai kyā

vo musāfir jo rāste meñ thā
manziloñ se guzar gayā hai kyā

koī hotā nahīñ hai aap ke saath
aap ke saath mas.ala hai kyā

ye jo tadbīr kar rahā huuñ maiñ
ye bhī taqdīr meñ likhā hai kyā

sochne vaalī baat hai 'imrran'
koī ye baat sochtā hai kyā

dal badal jaa.e ghar badal jaa.e
aadmī kā koī patā hai kyā

kyā hai ye mustatīl tanhā.ī
ye udāsī kā dā.era hai kyā

ġhaur se kaun dekhtā hai yahāñ
in charāġhoñ meñ jal rahā hai kyā

kyuuñ vo sar par savār hai 'imrran'
tere dil se utar gayā hai kyā

tum ne ye majra suna hai kya
jo bhi hona hai ho chuka hai kya

wo musafir jo raste mein tha
manzilon se guzar gaya hai kya

koi hota nahin hai aap ke sath
aap ke sath masala hai kya

ye jo tadbir kar raha hun main
ye bhi taqdir mein likha hai kya

sochne wali baat hai 'imrran'
koi ye baat sochta hai kya

dal badal jae ghar badal jae
aadmi ka koi pata hai kya

kya hai ye mustatil tanhai
ye udasi ka daera hai kya

ghaur se kaun dekhta hai yahan
in charaghon mein jal raha hai kya

kyun wo sar par sawar hai 'imrran'
tere dil se utar gaya hai kya


Leave a comment

+