ham ko us shoḳh ne kal dar talak aane na diyā
dar-o-dīvār ko bhī haal sunāne na diyā
parda-e-chashm meñ har dam to chhupā.e aañsū
be-qarārī ne mujhe raaz chhupāne na diyā
mujh ko ālūda rakhā is mirī gumrāhī ne
araq-e-sharm-e-gunah bhī to bahāne na diyā
tere kahne se maiñ ab lā.ūñ kahāñ se nāseh
sabr jab is dil-e-muztar ko ḳhudā ne na diyā
man.a hai bas ki ḳhur-o-ḳhvāb hameñ ġham meñ tere
mar ke sone na diyā zahr bhī khāne na diyā
huuñ sitamgar maiñ jafāoñ se tirī sharminda
nā-tavānī ne mujhe sar bhī uThāne na diyā
dam kā aanā to baḌī baat hai lab par 'ārif'
zo.af ne harf-e-shikāyat kabhī aane na diyā
hum ko us shoKH ne kal dar talak aane na diya
dar-o-diwar ko bhi haal sunane na diya
parda-e-chashm mein har dam to chhupae aansu
be-qarari ne mujhe raaz chhupane na diya
mujh ko aaluda rakha is meri gumrahi ne
araq-e-sharm-e-gunah bhi to bahane na diya
tere kahne se main ab laun kahan se naseh
sabr jab is dil-e-muztar ko KHuda ne na diya
mana hai bas ki KHur-o-KHwab hamein gham mein tere
mar ke sone na diya zahr bhi khane na diya
hun sitamgar main jafaon se teri sharminda
na-tawani ne mujhe sar bhi uThane na diya
dam ka aana to baDi baat hai lab par 'arif'
zoaf ne harf-e-shikayat kabhi aane na diya
Leave a comment