zindagī meñ jo ye ravānī hai
ek kirdār kī kahānī hai
maiñ ne us se kahā ye aañsū haiñ
us ne mujh se kahā ye paanī hai
taaza taaza hai terā ġham 'imrran'
ye kahānī baḌī purānī hai
ek to sar-phirī havā kī chaal
aur kashtī bhī bādbānī hai
zaḳhm jis vaqt kī amānat thā
dard us daur kī nishānī hai
sher jis ko samajh rahe haiñ janāb
ye haqīqat meñ be-zabānī hai
phir vahī hai savāl-e-kaun-o-makāñ
phir vahī merī be-makānī hai
ai ḳhudā ye vajūd kā jhagḌā
ḳhaak kā hai ki āsmānī hai
zindagi mein jo ye rawani hai
ek kirdar ki kahani hai
main ne us se kaha ye aansu hain
us ne mujh se kaha ye pani hai
taza taza hai tera gham 'imrran'
ye kahani baDi purani hai
ek to sar-phiri hawa ki chaal
aur kashti bhi baadbani hai
zaKHm jis waqt ki amanat tha
dard us daur ki nishani hai
sher jis ko samajh rahe hain janab
ye haqiqat mein be-zabani hai
phir wahi hai sawal-e-kaun-o-makan
phir wahi meri be-makani hai
ai KHuda ye wajud ka jhagDa
KHak ka hai ki aasmani hai
Leave a comment