Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imran Rahib

  • Ghazal


gar chahte ho farsh se aflak pe rakkho


gar chāhte ho farsh se aflāk pe rakkho
ik baar mujhe phir se zarā chaak pe rakkho

ik barf kī sil qalb-e-pareshāñ pe utāro
ik dasht mire dīda-e-namnāk pe rakkho

tum ramz-e-shahādat ke ma.ānī nahīñ samjhe
sar nok kī sidra pe badan ḳhaak pe rakkho

lāzim hai ki chābuk se tarāsho mirā paikar
vājib hai ki tum tursh-ravī naak pe rakkho

phir pusht pe har ḳhvāb kī zanjīr-zanī ho
jab shām-e-ġharībāñ mirī poshāk pe rakkho

yuuñ qais ke rutbe kī ḳhabar honī hai 'rāhib'
sahrā ko agar shāna-e-idrāk pe rakkho

gar chahte ho farsh se aflak pe rakkho
ek bar mujhe phir se zara chaak pe rakkho

ek barf ki sil qalb-e-pareshan pe utaro
ek dasht mere dida-e-namnak pe rakkho

tum ramz-e-shahadat ke maani nahin samjhe
sar nok ki sidra pe badan KHak pe rakkho

lazim hai ki chabuk se tarasho mera paikar
wajib hai ki tum tursh-rawi nak pe rakkho

phir pusht pe har KHwab ki zanjir-zani ho
jab sham-e-ghariban meri poshak pe rakkho

yun qais ke rutbe ki KHabar honi hai 'rahib'
sahra ko agar shana-e-idrak pe rakkho


Leave a comment

+