Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imran Rahib

  • Ghazal


phir yun hua ki aag se chehra jala diya


phir yuuñ huā ki aag se chehra jalā diyā
kis ne aziim shahr kā naqsha jalā diyā

kal panchhiyoñ ne qaid meñ ik faisle ke ba.ad
badle kī sard aag se piñjra jalā diyā

tāvān jo nahīñ milā shah-rag ko kaaT kar
bachche kī laash pheñk dī basta jalā diyā

āñdhī kī phir charāġh se takrār ho ga.ī
jugnū ne kyuuñ havā kā dupaTTa jalā diyā

jab nainvā meñ raat thī aur bujh ga.e charāġh
tab ashqiyā ne ḳhauf se ḳhema jalā diyā

ye gir rahī hai raakh jo 'rāhib' zamīn par
buḌhiyā ne raat chāñd meñ charḳha jalā diyā

phir yun hua ki aag se chehra jala diya
kis ne azim shahr ka naqsha jala diya

kal panchhiyon ne qaid mein ek faisle ke baad
badle ki sard aag se pinjra jala diya

tawan jo nahin mila shah-rag ko kaT kar
bachche ki lash phenk di basta jala diya

aandhi ki phir charagh se takrar ho gai
jugnu ne kyun hawa ka dupaTTa jala diya

jab nainwa mein raat thi aur bujh gae charagh
tab ashqiya ne KHauf se KHema jala diya

ye gir rahi hai rakh jo 'rahib' zamin par
buDhiya ne raat chand mein charKHa jala diya


Leave a comment

+