Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imran Rahib

  • Ghazal


ujaD ghar mein udas chehra tha yani main tha


ujaaḌ ghar meñ udaas chehra thā ya.anī maiñ thā
vo jis kī āñkhoñ meñ bahtā dariyā thā ya.anī maiñ thā

jo panting meñ hasīn laḌkī thī ya.anī tū thī
jo sar jhukā.e udaas laḌkā thā ya.anī maiñ thā

vo tū hai jis pe hai jhiil saif-ul-mulūk martī
vo jis kī muTThī meñ bāñjh sahrā thā ya.anī maiñ thā

tum apnī pahlī mohabbatoñ ke javāz chhoḌo
vo tīsrā pyaar jo tumhārā thā ya.anī maiñ thā

sunā hai titlī kā isti.āra ġhazal meñ tū thī
jo chāñd grahan kā isti.āra thā ya.anī maiñ thā

tū shāh-zādī aqiiq kā taḳht chāhtī thī
jo apnī hastī meñ bhūt-bañgla thā ya.anī maiñ thā

ujaD ghar mein udas chehra tha yani main tha
wo jis ki aankhon mein bahta dariya tha yani main tha

jo panting mein hasin laDki thi yani tu thi
jo sar jhukae udas laDka tha yani main tha

wo tu hai jis pe hai jhil saif-ul-muluk marti
wo jis ki muTThi mein banjh sahra tha yani main tha

tum apni pahli mohabbaton ke jawaz chhoDo
wo tisra pyar jo tumhaara tha yani main tha

suna hai titli ka istiara ghazal mein tu thi
jo chand grahan ka istiara tha yani main tha

tu shah-zadi aqiq ka taKHt chahti thi
jo apni hasti mein bhut-bangla tha yani main tha


Leave a comment

+