Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imran Rahib

  • Ghazal


saste mein un ko bhulna achchha laga hai aaj


saste meñ un ko bhūlnā achchhā lagā hai aaj
chaa.e kā ek ghūñT bhī kaafī rahā hai aaj

rassī se jhūltī huī laḌkī nahīñ hai ye
ye nā-murād-e-ishq hai laTkā huā hai aaj

kis ne kahā hai ḳhair hai maiñ to nahīñ girā
vo to shajar se āḳhirī pattā girā hai aaj

jhagḌā huuñ bad-gumān se chīḳhā huuñ phone par
ye sātvāñ thā phone jo toḌā gayā hai aaj

dastak samajh ke dar pe tū yuuñ dauḌ ke na jā
kal bhī havā kā kaam thā phir bhī havā hai aaj

dariyā ko khīñch laane de sahrā ke darmiyān
maTkā ġharīb-zādī kā pyāsā paḌā hai aaj

dil but-kada rahā to tū pahlū-nashīn thā
ka.aba banā tū terī jagah pe ḳhudā hai aaj

'rāhib' zabān par mirī chhāle se paḌ ga.e
dekhā jo dar pe yaar ke taalā paḌā hai aaj

saste mein un ko bhulna achchha laga hai aaj
chae ka ek ghunT bhi kafi raha hai aaj

rassi se jhulti hui laDki nahin hai ye
ye na-murad-e-ishq hai laTka hua hai aaj

kis ne kaha hai KHair hai main to nahin gira
wo to shajar se aaKHiri patta gira hai aaj

jhagDa hun bad-guman se chiKHa hun phone par
ye satwan tha phone jo toDa gaya hai aaj

dastak samajh ke dar pe tu yun dauD ke na ja
kal bhi hawa ka kaam tha phir bhi hawa hai aaj

dariya ko khinch lane de sahra ke darmiyan
maTka gharib-zadi ka pyasa paDa hai aaj

dil but-kada raha to tu pahlu-nashin tha
kaba bana tu teri jagah pe KHuda hai aaj

'rahib' zaban par meri chhaale se paD gae
dekha jo dar pe yar ke tala paDa hai aaj


Leave a comment

+