husn ke vasvase se bāhar mil
tū mujhe aa.ine se bāhar mil
rakh bharam kuchh to be-libāsī kā
sharm ke dā.ere se bāhar mil
māvarā nazm kī ho bandish se
tū mujhe qāfiye se bāhar mil
vajd kī kaifiyat meñ chhū mujh ko
hosh ke dā.ere se bāhar mil
pyaar ke raag raag rahne de
ishq ke falsafe se bāhar mil
abr kī jhoñpaḌī se bāhar aa
ret ke qāfile se bāhar mil
khol na tāqche ko ujlat meñ
chain se hausle se bāhar mil
ḳhvāb kī bārgah meñ hāzir ho
niiñd ke zāviye se bāhar mil
khīñch le vaqt kī tanāboñ ko
jism ke fāsle se bāhar mil
kyā kahā jism nochnā hai tujhe
shaam ke hāshiye se bāhar mil
ḳhaak par pheñk de añgūThī ko
ghar ke is faisle se bāhar mil
dekh jā hijr kī musībat meñ
vasl ke hādse se bāhar mil
be-ḳhatar haath thaam 'rāhib' kā
ḳhauf ke silsile se bāhar mil
husn ke waswase se bahar mil
tu mujhe aaine se bahar mil
rakh bharam kuchh to be-libasi ka
sharm ke daere se bahar mil
mawara nazm ki ho bandish se
tu mujhe qafiye se bahar mil
wajd ki kaifiyat mein chhu mujh ko
hosh ke daere se bahar mil
pyar ke rag rag rahne de
ishq ke falsafe se bahar mil
abr ki jhonpaDi se bahar aa
ret ke qafile se bahar mil
khol na taqche ko ujlat mein
chain se hausle se bahar mil
KHwab ki bargah mein hazir ho
nind ke zawiye se bahar mil
khinch le waqt ki tanabon ko
jism ke fasle se bahar mil
kya kaha jism nochna hai tujhe
sham ke hashiye se bahar mil
KHak par phenk de anguThi ko
ghar ke is faisle se bahar mil
dekh ja hijr ki musibat mein
wasl ke hadse se bahar mil
be-KHatar hath tham 'rahib' ka
KHauf ke silsile se bahar mil
Leave a comment