Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imran Rahib

  • Ghazal


ab aap kah rahe hain ki chehra udas hai


ab aap kah rahe haiñ ki chehra udaas hai
maiñ ne sunā thā aap kā kamra udaas hai

gardan hai ḳhud-kushī ke bahāne talāshtī
har roz mujh se kahtī hai pañkhā udaas hai

bārish meñ bhīgtī huī laḌkī ko kyā ḳhabar
fōtpath par paḌā huā chhātā udaas hai

koī na dekh paayā to bolā nahīñ koī
gūñgā hai bad-gumān to andhā udaas hai

paTrī pe leT jā.ūñgā sarvat nahīñ huuñ maiñ
par jāntā huuñ rail kā pahiya udaas hai

bargad kī shāḳh toḌ dī āñdhī ne pichhlī raat
is vāste to gaañv kā būḌhā udaas hai

ab aap kah rahe hain ki chehra udas hai
main ne suna tha aap ka kamra udas hai

gardan hai KHud-kushi ke bahane talashti
har roz mujh se kahti hai pankha udas hai

barish mein bhigti hui laDki ko kya KHabar
footpath par paDa hua chhata udas hai

koi na dekh paya to bola nahin koi
gunga hai bad-guman to andha udas hai

paTri pe leT jaunga sarwat nahin hun main
par jaanta hun rail ka pahiya udas hai

bargad ki shaKH toD di aandhi ne pichhli raat
is waste to ganw ka buDha udas hai


Leave a comment

+