Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imran Rahib

  • Ghazal


agle panch dinon tak jina chahta hun


agle pāñch dinoñ tak jiinā chāhtā huuñ
ro lūñgā par pahle hañsnā chāhtā huuñ

merī āñkhoñ ke ab paañv kāñpte haiñ
us ko maiñ jī bhar ke taknā chāhtā huuñ

maiñ sahrā huuñ kuchh badlāo lāzmī hai
ab maiñ dariyā ban kar bahnā chāhtā huuñ

duniyā vaalo āḳhir-kār turābī huuñ
maiñ hāthoñ par sūraj dharnā chāhtā huuñ

us ke har andāz ko sāñseñ de kar maiñ
us ke har andāz pe marnā chāhtā huuñ

bahrī nahīñ hai nok sināñ kī sun legī
sar huuñ aur tilāvat karnā chāhtā huuñ

jo tere pahlū par hai us gāgar se
izn mile to paanī piinā chāhtā huuñ

terā lams bhī dūsrā naam hai agnī kā
chhū le mujh ko ab maiñ jalnā chāhtā huuñ

agle panch dinon tak jina chahta hun
ro lunga par pahle hansna chahta hun

meri aankhon ke ab panw kanpte hain
us ko main ji bhar ke takna chahta hun

main sahra hun kuchh badlao lazmi hai
ab main dariya ban kar bahna chahta hun

duniya walo aaKHir-kar turabi hun
main hathon par suraj dharna chahta hun

us ke har andaz ko sansen de kar main
us ke har andaz pe marna chahta hun

bahri nahin hai nok sinan ki sun legi
sar hun aur tilawat karna chahta hun

jo tere pahlu par hai us gagar se
izn mile to pani pina chahta hun

tera lams bhi dusra nam hai agni ka
chhu le mujh ko ab main jalna chahta hun


Leave a comment

+