Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Ansari Zafar

  • Ghazal


har ek shai ishtihaari ho gai hai


har ik shai ishtihārī ho ga.ī hai
ye duniyā kārobārī ho ga.ī hai

mire dil meñ jo thī vo baat ab to
mire hoñToñ pe jaarī ho ga.ī hai

sitam jhele haiñ itne āgahī ke
ajab hālat hamārī ho ga.ī hai

tirī yādoñ ke sadqe vaj.h-e-rāhat
shab-e-aḳhtar-shumārī ho ga.ī hai

ka.ī din se ye kaisī be-ḳhudī sī
dil-e-muztar pe taarī ho ga.ī hai

ye mumkin hī nahīñ tanhā rahūñ maiñ
ġham-e-jānāñ se yaarī ho ga.ī hai

ye terī aarzū terī tamannā
bhalā kyuuñ vaj.h-e-ḳhvārī ho ga.ī hai

har ek shai ishtihaari ho gai hai
ye duniya karobari ho gai hai

mere dil mein jo thi wo baat ab to
mere honTon pe jari ho gai hai

sitam jhele hain itne aagahi ke
ajab haalat hamari ho gai hai

teri yaadon ke sadqe wajh-e-rahat
shab-e-aKHtar-shumari ho gai hai

kai din se ye kaisi be-KHudi si
dil-e-muztar pe tari ho gai hai

ye mumkin hi nahin tanha rahun main
gham-e-jaanan se yari ho gai hai

ye teri aarzu teri tamanna
bhala kyun wajh-e-KHwari ho gai hai


Source: Book : Sharar-e-sang (Pg. 138) Author : Zafar Ansari Zafar Publication : Educational Publishing House (2015) Edition : 2015

Leave a comment

+