parinda aa.ine se kyā laḌegā
fareb-e-zāt meñ aa kar maregā
mohabbat bhī baḌī lambī saḌak hai
barhana-pā koī kitnā chalegā
hamāre jāgne tak dekhnā tum
hamāre ḳhvāb kā charchā rahegā
hamārī ḳhaak se duniyā banī thī
hamārī raakh se ab kyā banegā
ye chiñgārī bhaḌak uTThegī ik din
miyāñ ye ishq hai ho kar rahegā
tujhe duniyā kī aadat paḌ ga.ī hai
akelā rah gayā to kyā karegā
maiñ tere saath mar saktā huuñ lekin
tū mere saath kyā zinda rahegā
abhī se soch lo ḳhāna-badosho
hamārī raah meñ sahrā paḌegā
samundar ne ravānī siikh lī hai
mire dariyā tumhārā kyā banegā
parinda aaine se kya laDega
fareb-e-zat mein aa kar marega
mohabbat bhi baDi lambi saDak hai
barhana-pa koi kitna chalega
hamare jagne tak dekhna tum
hamare KHwab ka charcha rahega
hamari KHak se duniya bani thi
hamari rakh se ab kya banega
ye chingari bhaDak uTThegi ek din
miyan ye ishq hai ho kar rahega
tujhe duniya ki aadat paD gai hai
akela rah gaya to kya karega
main tere sath mar sakta hun lekin
tu mere sath kya zinda rahega
abhi se soch lo KHana-badosho
hamari rah mein sahra paDega
samundar ne rawani sikh li hai
mere dariya tumhaara kya banega
Leave a comment