Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imdad Imam Asar

  • Ghazal


apne dar se jo uThate hain hamein


apne dar se jo uThāte haiñ hameñ
ḳhaak meñ aap milāte haiñ hameñ

hai jo manzūr jafā dar-parda
muñh vo ġhairoñ meñ dikhāte haiñ hameñ

ġhair ko paas biThā rakhte haiñ
jab kabhī aap bulāte haiñ hameñ

garmiyāñ ġhair ko dikhlā dikhlā
bazm meñ aap jalāte haiñ hameñ

shab-e-furqat meñ falak ke taare
dāġh-e-dil yaad dilāte haiñ hameñ

un ke andāz-e-suḳhan haiñ ma.alūm
ġhair ko kah ke sunāte haiñ hameñ

phir kisī gul pe huā dil maa.il
dāġh-e-tāza nazar aate haiñ hameñ

chhoḌ deñ aap kī hamrāhī ham
vaah kyā raah batāte haiñ hameñ

tū hameñ raah batā.e jis se
ġhair vo raah batāte haiñ hameñ

itr-e-gul se nahīñ jab dil bhartā
apnā rūmāl suñghāte haiñ hameñ

shab ko afsāna-e-dil kah ke 'asar'
aap rote haiñ rulāte haiñ hameñ

apne dar se jo uThate hain hamein
KHak mein aap milate hain hamein

hai jo manzur jafa dar-parda
munh wo ghairon mein dikhate hain hamein

ghair ko pas biTha rakhte hain
jab kabhi aap bulate hain hamein

garmiyan ghair ko dikhla dikhla
bazm mein aap jalate hain hamein

shab-e-furqat mein falak ke tare
dagh-e-dil yaad dilate hain hamein

un ke andaz-e-suKHan hain malum
ghair ko kah ke sunate hain hamein

phir kisi gul pe hua dil mail
dagh-e-taza nazar aate hain hamein

chhoD den aap ki hamrahi hum
wah kya rah batate hain hamein

tu hamein rah batae jis se
ghair wo rah batate hain hamein

itr-e-gul se nahin jab dil bharta
apna rumal sunghate hain hamein

shab ko afsana-e-dil kah ke 'asar'
aap rote hain rulate hain hamein


Leave a comment

+