apnī jāñ-bāzī kā jis dam imtihāñ ho jā.egā
ḳhanjar-e-saffāk par jauhar ayaañ ho jā.egā
āh-e-sozāñ kā agar ūñchā dhuāñ ho jā.egā
āsmāñ ik aur zer-e-āsmāñ ho jā.egā
kuchh samajh kar us mah-e-ḳhūbī se kī thī dostī
ye na samjhe the ki dushman āsmāñ ho jā.egā
le ḳhabar bīmār-e-ġham kī varna ai rashk-e-masīh
terī furqat meñ firāq-e-jism-o-jāñ ho jā.egā
ḳhaak kar degā mujhe āḳhir siyah-chashmoñ kā ishq
jism-e-ḳhākī gard-e-pā-e-āhu.vāñ ho jā.egā
jab adā se vo karegā qatl mujh ko ai 'asar'
kushta-e-shamshīr-e-hairat ik jahāñ ho jā.egā
apni jaan-bazi ka jis dam imtihan ho jaega
KHanjar-e-saffak par jauhar ayan ho jaega
aah-e-sozan ka agar uncha dhuan ho jaega
aasman ek aur zer-e-asman ho jaega
kuchh samajh kar us mah-e-KHubi se ki thi dosti
ye na samjhe the ki dushman aasman ho jaega
le KHabar bimar-e-gham ki warna ai rashk-e-masih
teri furqat mein firaq-e-jism-o-jaan ho jaega
KHak kar dega mujhe aaKHir siyah-chashmon ka ishq
jism-e-KHaki gard-e-pa-e-ahuwan ho jaega
jab ada se wo karega qatl mujh ko ai 'asar'
kushta-e-shamshir-e-hairat ek jahan ho jaega
Leave a comment