Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imdad Imam Asar

  • Ghazal


jhuTe wadon par tumhaari jaen kya


jhūTe va.adoñ par tumhārī jaa.eñ kyā
jānte haiñ tum ko dhokā khā.eñ kyā

pursish apne qatl kī hone lagī
dāvar-e-mahshar ko ham batlā.eñ kyā

un kī mahfil hairat-e-ālam sahī
ġhair ham-pahlū jahāñ ho jaa.eñ kyā

ḳhūn-e-dil khāne se kuchh inkār hai
jab nahīñ ai lazzat-e-ġham khā.eñ kyā

nāseh-e-mushfiq ko samjhānā paḌā
is samajh par tum ko vo samjhā.eñ kyā

ġhair ne rah kar jahannam kar diyā
haiñ musalmāñ tere ghar ham aa.eñ kyā

ham se un se baat kyā baaqī rahī
ham kaheñ kyā aur vo farmā.eñ kyā

hai pashemānī meñ iqrār-e-ḳhatā
qatl kar ke mujh ko vo pachhtā.eñ kyā

ā.eñge phir bhī vahī ishrat ke din
inqilāb-e-dahr se ghabrā.eñ kyā

mar hī kar uTTheñge tere dar se ham
aa ke jab baiThe to phir uTh jaa.eñ kyā

dil ko kho.e ek muddat ho ga.ī
ai 'asar' ab DhūñDne se paa.eñ kyā

jhuTe wadon par tumhaari jaen kya
jaante hain tum ko dhoka khaen kya

pursish apne qatl ki hone lagi
dawar-e-mahshar ko hum batlaen kya

un ki mahfil hairat-e-alam sahi
ghair ham-pahlu jahan ho jaen kya

KHun-e-dil khane se kuchh inkar hai
jab nahin ai lazzat-e-gham khaen kya

naseh-e-mushfiq ko samjhana paDa
is samajh par tum ko wo samjhaen kya

ghair ne rah kar jahannam kar diya
hain musalman tere ghar hum aaen kya

hum se un se baat kya baqi rahi
hum kahen kya aur wo farmaen kya

hai pashemani mein iqrar-e-KHata
qatl kar ke mujh ko wo pachhtaen kya

aaenge phir bhi wahi ishrat ke din
inqilab-e-dahr se ghabraen kya

mar hi kar uTThenge tere dar se hum
aa ke jab baiThe to phir uTh jaen kya

dil ko khoe ek muddat ho gai
ai 'asar' ab DhunDne se paen kya


Leave a comment

+