Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imdad Imam Asar

  • Ghazal


zaban-e-haal se hum shikwa-e-bedad karte hain


zabān-e-hāl se ham shikva-e-bedād karte haiñ
dahān-e-zaḳhm-e-qātil dam-ba-dam fariyād karte haiñ

samajh kar kyā asīrān-e-qafas fariyād karte haiñ
tavajjoh bhī kahīñ fariyād par sayyād karte haiñ

azāb-e-qabr se paate haiñ rāhat ishq ke mujrim
pas-e-murdāñ jafā.eñ yaar kī jab yaad karte haiñ

na kah bahr-e-ḳhudā tū bandagān-e-ishq ko kāfir
butoñ kī yaad meñ zāhid ḳhudā ko yaad karte haiñ

zarā sayyād chal kar dekh tū kyā haal hai un kā
asīrān-e-qafas fariyād par fariyād karte haiñ

butān-e-sañg-dil ke haath se dil hī nahīñ nālāñ
barābar dair meñ nāqūs bhī fariyād karte haiñ

banāte haiñ hazāroñ zaḳhm-e-ḳhandāñ ḳhanjar-e-ġham se
dil-e-nāshād ko ham is tarah pur-shād karte haiñ

mile lazzat jo iizā se to baaz aate haiñ iizā se
sitam-ījād haiñ tarz-e-sitam ījād karte haiñ

'asar' ko dekh kar kyā ruuh ko sadma pahuñchtā hai
ḳhudā samjhe butoñ se kis qadar be-dād karte haiñ

zaban-e-haal se hum shikwa-e-bedad karte hain
dahan-e-zaKHm-e-qatil dam-ba-dam fariyaad karte hain

samajh kar kya asiran-e-qafas fariyaad karte hain
tawajjoh bhi kahin fariyaad par sayyaad karte hain

azab-e-qabr se pate hain rahat ishq ke mujrim
pas-e-murdan jafaen yar ki jab yaad karte hain

na kah bahr-e-KHuda tu bandagan-e-ishq ko kafir
buton ki yaad mein zahid KHuda ko yaad karte hain

zara sayyaad chal kar dekh tu kya haal hai un ka
asiran-e-qafas fariyaad par fariyaad karte hain

butan-e-sang-dil ke hath se dil hi nahin nalan
barabar dair mein naqus bhi fariyaad karte hain

banate hain hazaron zaKHm-e-KHandan KHanjar-e-gham se
dil-e-nashad ko hum is tarah pur-shad karte hain

mile lazzat jo iza se to baz aate hain iza se
sitam-ijad hain tarz-e-sitam ijad karte hain

'asar' ko dekh kar kya ruh ko sadma pahunchta hai
KHuda samjhe buton se kis qadar be-dad karte hain


Leave a comment

+