samjhāyā bahut dil ko samjhāne ko kyā kahiye
dīvāna hai dīvāna dīvāne ko kyā kahiye
aate hī chale jaanā kyā aanā hai kyā jaanā
is aane ko kyā kahiye is jaane ko kyā kahiye
hai sham.a sitam-ārā jo kahiye use kahiye
parvāna hai parvāna parvāne ko kyā kahiye
but-ḳhāna-o-ka.aba meñ yaksāñ hai tirā jalva
ka.aba to huā ka.aba but-ḳhāne ko kyā kahiye
kyā kyā na kamāl insāñ kartā hai 'asar' paidā
sad-haif magar is ke mar jaane ko kyā kahiye
samjhaya bahut dil ko samjhane ko kya kahiye
diwana hai diwana diwane ko kya kahiye
aate hi chale jaana kya aana hai kya jaana
is aane ko kya kahiye is jaane ko kya kahiye
hai shama sitam-ara jo kahiye use kahiye
parwana hai parwana parwane ko kya kahiye
but-KHana-o-kaba mein yaksan hai tera jalwa
kaba to hua kaba but-KHane ko kya kahiye
kya kya na kamal insan karta hai 'asar' paida
sad-haif magar is ke mar jaane ko kya kahiye
Source: Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 142) Author : فرحت احساس Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Leave a comment