Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imdad Imam Asar

  • Ghazal


us but-e-be-misal ka pahlu


us but-e-be-misāl kā pahlū
hai ḳhudā se visāl kā pahlū

maah ko tiis din kī gardish meñ
ek shab hai kamāl kā pahlū

dil diyā us ko ik nigāh ke saath
na milā dekh bhaal kā pahlū

muft kī mai milegī ai qaazī
DhūñDh us ke halāl kā pahlū

ġhair ke ghar na jā sake vo raat
na milā un ko chaal kā pahlū

hojiye ġhair se na garm-e-suḳhan
is meñ haiñ ishti.āl kā pahlū

tū jagah paa.e us ke pahlū meñ
hai 'asar' ye muhāl kā pahlū

us but-e-be-misal ka pahlu
hai KHuda se visal ka pahlu

mah ko tis din ki gardish mein
ek shab hai kamal ka pahlu

dil diya us ko ek nigah ke sath
na mila dekh bhaal ka pahlu

muft ki mai milegi ai qazi
DhunDh us ke halal ka pahlu

ghair ke ghar na ja sake wo raat
na mila un ko chaal ka pahlu

hojiye ghair se na garm-e-suKHan
is mein hain ishtial ka pahlu

tu jagah pae us ke pahlu mein
hai 'asar' ye muhaal ka pahlu


Source: Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 139) Author : فرحت احساس Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)

Leave a comment

+