Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imdad Hamdani

  • Ghazal


kisi ke waste kya kya hamein dukh jhelne honge


kisī ke vāste kyā kyā hameñ dukh jhelne hoñge
shaboñ ko jāgnā hogā kaḌe din kāTne hoñge

tirī sañgīñ fasīloñ ko to jumbish tak nahīñ aa.ī
havā.eñ le uḌiiñ jin ko vo apne jhoñpaḌe hoñge

bhañvar tak to koī aayā nahīñ mere liye lekin
maiñ bach niklā to sāhil par ka.ī baazū khule hoñge

ḳhizāñ kā zahr saare shahr kī rag rag meñ utrā hai
galī-kūchoñ meñ ab to zard chehre dekhne hoñge

hameñ duniyā kī gardish ye tamāsha bhī dikhā.egī
gharoñ meñ tīrgī hogī muñDeroñ par diye hoñge

koī daulat nahīñ 'imdād' apne dast o dāman meñ
faqat yādoñ ke sikke dil tijorī meñ rakhe hoñge

kisi ke waste kya kya hamein dukh jhelne honge
shabon ko jagna hoga kaDe din kaTne honge

teri sangin fasilon ko to jumbish tak nahin aai
hawaen le uDin jin ko wo apne jhonpaDe honge

bhanwar tak to koi aaya nahin mere liye lekin
main bach nikla to sahil par kai bazu khule honge

KHizan ka zahr sare shahr ki rag rag mein utra hai
gali-kuchon mein ab to zard chehre dekhne honge

hamein duniya ki gardish ye tamasha bhi dikhaegi
gharon mein tirgi hogi munDeron par diye honge

koi daulat nahin 'imdad' apne dast o daman mein
faqat yaadon ke sikke dil tijori mein rakhe honge


Source: Book : Khayaabaan (Pg. 130) Author : Hassan Abbas Raza Publication : Bazm-e-Khayaabaan-e-adab, Pakistan

Leave a comment

+