Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imdad Ali Bahr

  • Ghazal


mere aage tazkira nashuq-o-ashiq ka bura


mere aage tazkira nāshūq-o-āshiq kā burā
aglī bāteñ mujh ko yaad aatī haiñ ye charchā burā

nā-gahānī thī jo maiñ āshiq huā rusvā huā
chāhtā hai koī duniyā meñ bhalā apnā burā

hai yahī sūrat to ham se rāz-poshī ho chukī
chashm tar lab ḳhushk chehra zard ye naqsha burā

ham ġharīboñ se na pūchho ne.mat-e-duniyā kā haal
shukr kar ke khā liyā jo kuchh milā achchhā burā

ek bose par bhī merā dil na sāhab ne liyā
itnī qīmat par to achchhā thā na itnā thā burā

kar guzariye mere haq meñ aap jo manzūr ho
aa.e din kā ma.arka har roz kā jhagḌā burā

aadmī hotā hai sargardāñ bagūle kī tarah
āñdhiyāñ achchhī havā-o-hirs kā jhoñkā burā

aa.e jab va.ade ke shab mehñdī lagā baiThā vo shoḳh
dūsrī raat istiḳhāra aane ko aayā burā

ban ke uḌ nāgan mo.azzin ko Dase zulf-e-sanam
vasl kī shab ko azān-e-sub.h kā khaTkā burā

aañkh se dekhogī vo kuchh aabrū ko ro.ogī
jhāñk-tāk achchhī nahīñ ai 'bahr' ye lapkā burā

mere aage tazkira nashuq-o-ashiq ka bura
agli baaten mujh ko yaad aati hain ye charcha bura

na-gahani thi jo main aashiq hua ruswa hua
chahta hai koi duniya mein bhala apna bura

hai yahi surat to hum se raaz-poshi ho chuki
chashm tar lab KHushk chehra zard ye naqsha bura

hum gharibon se na puchho nemat-e-duniya ka haal
shukr kar ke kha liya jo kuchh mila achchha bura

ek bose par bhi mera dil na sahab ne liya
itni qimat par to achchha tha na itna tha bura

kar guzariye mere haq mein aap jo manzur ho
aae din ka marka har roz ka jhagDa bura

aadmi hota hai sargardan bagule ki tarah
aandhiyan achchhi hawa-o-hirs ka jhonka bura

aae jab wade ke shab mehndi laga baiTha wo shoKH
dusri raat istiKHara aane ko aaya bura

ban ke uD nagan moazzin ko Dase zulf-e-sanam
wasl ki shab ko azan-e-subh ka khaTka bura

aankh se dekhogi wo kuchh aabru ko roogi
jhank-tak achchhi nahin ai 'bahr' ye lapka bura


Leave a comment

+