Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Ansari Zafar

  • Ghazal


kabhi kisi ko jo dekha kisi ki banhon mein


kabhī kisī ko jo dekhā kisī kī bāñhoñ meñ
tujhī ko yaad kiyā dil ne sard aahoñ meñ

isī ummīd pe duniyā ko ham ne chhoḌ diyā
sukūn dil ko milegā tirī panāhoñ meñ

bahut hasīn thā bachpan kā vo zamāna bhī
koī hasīn kalī thī mirī nigāhoñ meñ

kiyā thā tū ne bhī mujh se nibāh kā va.ada
ye chāñd aur sitāre bhī haiñ gavāhoñ meñ

bahut dinoñ se chhupā hai vo chāñd jaane kahāñ
bahut dinoñ se añdherā hai dil kī rāhoñ meñ

azāb-e-hijr na de ai ḳhudā-e-husn mujhe
mirī vafā ko bhī shāmil na kar gunāhoñ meñ

kabhi kisi ko jo dekha kisi ki banhon mein
tujhi ko yaad kiya dil ne sard aahon mein

isi ummid pe duniya ko hum ne chhoD diya
sukun dil ko milega teri panahon mein

bahut hasin tha bachpan ka wo zamana bhi
koi hasin kali thi meri nigahon mein

kiya tha tu ne bhi mujh se nibah ka wada
ye chand aur sitare bhi hain gawahon mein

bahut dinon se chhupa hai wo chand jaane kahan
bahut dinon se andhera hai dil ki rahon mein

azab-e-hijr na de ai KHuda-e-husn mujhe
meri wafa ko bhi shamil na kar gunahon mein


Source: Book : Mausam Badal Raha Hai (Pg. 86) Author : Zafar Ansari Zafar Publication : Educational Publishing House (2012) Edition : 2012

Leave a comment

+