Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imdad Ali Bahr

  • Ghazal


hum aaj-kal hain nama-nawisi ki taw par


ham āj-kal haiñ nāma-navīsī kī taav par
din-bhar kabūtaroñ ko bhagāte haiñ baav par

rindoñ ko ek roz to dariyā-dilī dikhā
kashtī-e-mai ko chhoḌ de saaqī bahāo par

likkhūñ vo sher-e-āriz-e-rañgīñ kī vasf-bīñ
taḳhta chaman kā sadqe hoñ kāġhaz kī naav par

kuchh hājat-e-kabāb nahīñ kaif-e-ishq meñ
sīḳheñ dil-o-jigar kī lagīñ haiñ alaav par

be-minnat-e-jahān-e-tunuk-zarf agar mile
vallāh phir to charb hai ḳhashā pulāv par

qaane kī muñh se ne.mat-e-duniyā ḳhafīf hai
bhārī hai paav naan par mirī naan paav par

āfat-nishāñ haiñ dīda-e-fattāñ kī putliyāñ
tash.hīr sāmrī ko kareñge ye gaav par

bāzīcha-gāh-e-ishq meñ vo huuñ qimār-bāz
donoñ jahān rakh diye haiñ ek daav par

kyuuñ kar barātiyoñ se na ghūñghaT kare dulhan
saarī sabhā miTī hai tumhāre banāv par

gul-gasht kī havas chamanistāñ kī aarzū
ai be-qarāriyo mire dil ko lagāv par

kartā huuñ maiñ jo marham-e-kāfūr kī talāsh
kartī hai chāñdnī mirī siine ke ghaav par

kashtī-e-mai lagī rahī saaqī laboñ ke ghaaT
ham mai-kashoñ kā qāfila hai chal-chalāv par

maiñ jal meñ aa gayā vo na aayā fareb meñ
maiñ zad pe chaḌh gayā vo na Therā lagāv par

parvāne kī tarah na bujhā de charāġh-e-husn
tūtī-e-ḳhat ke ātish-e-ruḳh se jalāo par

ilm-e-safīna us ko tujhe ilm-e-sīna 'bahr'
tū pul par aur shaiḳh hai kāġhaz kī naav par

hum aaj-kal hain nama-nawisi ki taw par
din-bhar kabutaron ko bhagate hain baw par

rindon ko ek roz to dariya-dili dikha
kashti-e-mai ko chhoD de saqi bahao par

likkhun wo sher-e-ariz-e-rangin ki wasf-bin
taKHta chaman ka sadqe hon kaghaz ki naw par

kuchh hajat-e-kabab nahin kaif-e-ishq mein
siKHen dil-o-jigar ki lagin hain alaw par

be-minnat-e-jahan-e-tunuk-zarf agar mile
wallah phir to charb hai KHasha pulaw par

qane ki munh se nemat-e-duniya KHafif hai
bhaari hai paw nan par meri nan paw par

aafat-nishan hain dida-e-fattan ki putliyan
tashhir samri ko karenge ye gaw par

bazicha-gah-e-ishq mein wo hun qimar-baz
donon jahan rakh diye hain ek daw par

kyun kar baraatiyon se na ghunghaT kare dulhan
sari sabha miTi hai tumhaare banaw par

gul-gasht ki hawas chamanistan ki aarzu
ai be-qarariyo mere dil ko lagaw par

karta hun main jo marham-e-kafur ki talash
karti hai chandni meri sine ke ghaw par

kashti-e-mai lagi rahi saqi labon ke ghaT
hum mai-kashon ka qafila hai chal-chalaw par

main jal mein aa gaya wo na aaya fareb mein
main zad pe chaDh gaya wo na Thera lagaw par

parwane ki tarah na bujha de charagh-e-husn
tuti-e-KHat ke aatish-e-ruKH se jalao par

ilm-e-safina us ko tujhe ilm-e-sina 'bahr'
tu pul par aur shaiKH hai kaghaz ki naw par


Leave a comment

+