Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imdad Akash

  • Ghazal


zehn ashkal ko zanjir nahin kar paya


zehn ashkāl ko zanjīr nahīñ kar paayā
maiñ mukammal koī tasvīr nahīñ kar paayā

merī miTTī meñ guñdhe jauhar-e-taḳhrīb kī ḳhair
vaqt ab tak mujhe ta.amīr nahīñ kar paayā

jāntā huuñ ki mohabbat hai jahāñgīr magar
maiñ mohabbat ko jahāñgīr nahīñ kar paayā

vaqt ko maiñ ne guzārā hai azal se ab tak
phir bhī maiñ vaqt kī tafsīr nahīñ kar paatā

zindagī ek ajab ḳhvāb hai 'ākāsh' jise
koī sharminda-e-ta.abīr nahīñ kar paayā

zehn ashkal ko zanjir nahin kar paya
main mukammal koi taswir nahin kar paya

meri miTTi mein gundhe jauhar-e-taKHrib ki KHair
waqt ab tak mujhe tamir nahin kar paya

jaanta hun ki mohabbat hai jahangir magar
main mohabbat ko jahangir nahin kar paya

waqt ko main ne guzara hai azal se ab tak
phir bhi main waqt ki tafsir nahin kar pata

zindagi ek ajab KHwab hai 'akash' jise
koi sharminda-e-tabir nahin kar paya


Source:

Leave a comment

+